NAAT SHARIF & MANKABAT

Irfani Kalam & Mankabats:


The Importance of Kalima Tayeba :

(By My Murshid Hazrat Mohammed Fazal Hussain Shah(rehmatullah alaih) Jinse Mian Talib Hua Mere Pir Sahab Ke Parde Ke baad.

Kalme se bana hai sara jahan kalme ki kali tum kya jano,
Ahmed wa Ahad ka raaz hai ye kalme ki kali tum kya jano,

Kya zaat e nabuwat isme hai aur zaat e khuda bhi isme hai,
Jannat ismain hurain ismain kalme ki kali tum kya jano,

Khusbhu is main nabiyon ki aur noor khuda bhi ismain hai,
Duniya ismain ukba ismain kalme ki kali tum kya jano,

Hai ismain Mohammad aur Ali aur Fatima pinha,
Hai ismain Hassan aur Hussain bhi khud kalme ki kali tum kya jano,

Hai arsho kursi ismai hai aur chand sitare ismain hai,
Aur Noor-e-Mohammad aur Noor-e-Khuda kalme ki kali tum kya jano,

Ya Shah-e-Madar samjhya mujhe is duniya main ukba mai hai kya,
Takhlik-e- zamana hai kalme se kalme ki kali tum kya jano,

Izhar e khuda bhi is mai hai aur mehboob khuda aur pir bhi,
Yezdani liya khushbu iski kalmain ke kali tum kya jano.


Salto-Salaam: (By Hazrat Bhole Miyan Sahab (rehmatullah alaih) My Pir Sahab And My Bade Nana Hazrat)

1)

Lakho durood aap par Lakho salam aap par,

Zato safat ko apki haq ne quran bana diya,
oozo sharaf pe aap ko arsh charan ko chugaya,
Lakho durood aap par Lakho salam aap par.

Madare kaynat ne noore bashar hai kab jana,
noori adaon se apki ishq khuda ko hogya,
Lakho durood aap par Lakho salam aap par,

noor me dhale jism ko mim se dhapi shakl ko,
parda ye jab uthgaya shakl thi ek naam do,
Lakho durood aap par Lakho salam aap par,

arsh farsh ye subah sham aap ke kul jahan ghulam,
haq ne diya hai ye maqam kaule khuda tera kalam,
Lakho durood aap par Lakho salam aap par,

leke salame johari de do sakune zindagi,
roz nahi to aye nabi karna karam kabhi kabhi,
Lakho durood aap par Lakho salam aap par,.


2)

Auliya Naksh Kudrat Pe Lakho Salam, Panjatan Ki Sayadat Pe lakho Salam,
Fazl-e-Rehman Se Azmat Nabi Ki jo Sikhi, Is Mujadid Ki Jidad Pe Lakho Salam,
Qadri, Nakshbandi Wa Chishti Gulon Ki, Karam Pash Nighat Pe Lakho Salam,
Jise Biwi Zohra Banaye Hai Beta, Fazl-e-Rehman Ki Nisbat Pe Lakho Salam.


Naat Sharif:


1) [By Hazrat Bhole Miyan Sahab (rehmatullah alaih) My Pir Sahab]
Kehta Hai Jise Duniya Ye Haj Ka Mahina Hai,
Ye Pi(Lover) Ke Mere Pi Ke Milne Ka Bahana Hai.

Aafaq Ka Sagar Hai  Taiba Ki Ye Mina Hai,
Wo Saath Mere Aaye  Ab Jisko Bhi Pina Hai.

Maikhana-E-Duniya Ki Touhin Ye Pina Hai,
Han Unki Madhur Ankhon Se Pina Hi To Pina Hai.

Saaki Main Tere Qurban Kya Faiz Mohabbat Hai,
Jis Simt Nazar Dali Us Simt Madina Hai.

Aalam Ki Kisi Shay Main Khusbu Hi Nahi Aise,
Jaise Ki Mere Kamli Wale Ka Pasina Hai.

Ek Nazar-E-Karam Kardo Sadke Main Nawason Ke,
Toofan Nai Gheera Hai Tuta Sa Safina Hai.

Aise Hai Nabi Mere Jhurmuth Main Rasoolon Ke,
Jaise Ke Anghuti Mian Anmol Nagina Hai.

Johar Ko Garebi Main Kamzor Na Tum Samjho,
Daman Main Liye Unko Aakaye Madina Hai.

2)

Bahare Roze Taiba Main Wo Hai Jalwa Araye,
Zammen-E-Arshe Aazam Ho Yahan Jaise Utar Aye.

Sare Mehfil Jhalak Ye Apne Kaise Dikhlaye,
Diwana Hogaya Har Ek Hai Ab Tak Sehdaye.

Zammen Se Arsh Aazam Tak Na Thi Ye Baarish-E-Noori,
Yakken Hai Aap Ne Apni Nakabe Mim Sarkaye.

Kasam Allah ki Aisi Kashish Hai Sabz-E-Gumbad Main,
Hazar Dhang Se Dekha Hai Magar Sairi Na Ho Paye.

Samajh Main Ye Nahi Ata Ki Akhir Kya Mamla Hai,
Madine Aatehi Mallom Hota Hai ki Eid Aye.

Ghunhagaron Ko Kamli Main Chupane Agaye Aka,
Mubarak Ho Sare Mehshar Khatakaron Ki Banaye.

Pareshan Hal Hun, Besahara Hun, Rehmatain Aalam,
Tufaile Hasnain Ka Hojay Thodi Lutf Farmaye.

Kitabe Kudrat-E-Haq Ko Padha, Jab Dil Ke Aalam Nai,
Razaye Mustafa Ko Hi Razaye Haq Likhi Paye.

Gareebi Par Na Jaye Aap Johar Ki Samajh Lijeye,
Ghulami Ki Ye Daulat Usnai Hai Shabbir Se Paye.


3)

Maine Apni Bakshish Ki Raah Ye Nikal Hai,
Mustaf Ki Rehmat Se Maine Lau Laga Li Hai.

Unka Zikr Kar Kar Ke Unka Naam Le Le Kar,
Sogayi Thi Jo Kismat Miane Wo Jagali Hai.

Rab Ke Jo Khazane Hai Aap Unke Qasim Hai,
Unke Dar Par Har Koi Isliye Sawali Hai.

Kaun Hijare Ahmed Main Bhar Raha Hai Yun Aahian,
Ye Koi Owaisi Hai Ya Koi Bilali Hai.

Kya Mila Nahi Aye Riyaz Mustafa Ke sadke Main,
Damane Muraad Apna Kyun Kahun Ke kHali Hai.

Maine Apni Bakshish Ki Raah Ye Nikal Hai,
Mustaf Ki Rehmat Se Maine Lau Laga Li Hai.

4)

Jamal-E-Mustafa: (By Hazrat Bhole Miyan Sahab(rehmatullah alaih)
 
Tehar betabiye dil ab kinara mil giya humko,
Khush kismat ki taiba ka nazara milgay humko.

Na jane kin andheron main ye duniya khogaye hoti,
Jamale Mustafa chamka ujala mil gaya humko.

Zami ko mil gaye Musa Falak ko milgaye Isa,
Ke Kismat thi hamari Kamli Wala mil gaya humko.

Na hotey Mustafa to hum ibadat ko samjhtey kya,
Mohammed ki badualat Haq ka sajda mil gaya humko.

Tum apna sa bashar samjho nabi hum samjhe Ahmed ko,
Khuda ki raah tak jane ka zina milgaya humko.

Ye rehmat hai Karam Hai Zindagi ke wastey Johar,
Zaban Par naam jab aya sahara mil gaya hum ko.

5)

Ye Ishq Nabi Mere Dil Main Hi Sama Jana,
Mujhko Bhi Mohammed Ka Diwana Baba Jana.

Jo Rang Ke Jame Par Rumi Ko Chadaya Tha,
Us Rang Ki Rangat Mujhpar BHi Chada Jana.

Kudrat Ki Nighain Bhi Jis Chehre Ko Takti Thi,
Us Chehrahe Anwar Ka Didiar Kara Jana.

Jis Khwaab Main Hojaye Didar Nabi Hasil,
Aye Ishq Kabhi Mujhko Nind Aisi Sula Jana.

Duniya Main Riyaz Ho Jab Ukba Ki Taraf Jana,
Daghe Ghum-E-Ahmed Se Sine Ko Saja Jana.

Ye Ishq Nabi Mere Dil Main Hi Sama Jana,
Mujhko Bhi Mohammed Ka Diwana Baba Jana.

6) (By My Murshid Hazrat Mohammed Fazal Hussain Shah(rehmatullah alaih) 
 
JAMAL-E-MUSTAFA(sal-lal-laho-tala-alhi-wasalam):

PYARE RASOOL KYA HAI TERE ASTAAN KI BAAT,
RO RO KE CHUMTE HAI TERE MAIKAIDE KI BAAT,

AI SHAH RANG LAYE TERE JAAM KI JHALAK,
KHALKE KHUDA NISAR KYA HUROON MALAK KI BAAT,

RASHKE KAMAR HAI SEHRA NASIM AUR BULBULE,
KARTE HAI YE JAMALE RUKHE MUSTAFA KI BAAT,

IRFAN KI WADIYON MAIN TERE HUSN KE CHARCHE,
ALLAH BHI KARTA HAI MERE MUSTAFA KI BAAT,

ZAIBA NAHI MUNAFIKON MUNKIR KI REALIYAN,
MOOH MAIN NAHI ZABAN JO KARAIN MERE MUSTAFA KI BAAT,

AA JAO SAB SAMJHE KE MADINE KI RAAH PAAR,
HAQ KI ZUBAN, BADRUD-DUJA, SHAMSHUD-DHOA KI BAAT,

PIR YEZDANI SAMJHTA HAI SAB JOD TOD KO,
MIL KARE AIYE MOMINON AHLE QURAN KI BAAT.


7)

This naat sharif is written by HAJI QASIM MUSTAFAI FAZL-E-REHMANI Barielwy(reh)

Tha shor zameen se taa ba-falak, sarkar hamara khoob banaa
Me'raaj ki shab kehtey they malak, Allah ka pyara khoob banaa

Mehboob banaya Haq ne tumhein, deedar dikhaya apna tumhein
Woh Ru-e-Munawwar Salle 'Ala hai pyara pyara khoob banaa

Rehmat ki ho shaha is pe nazar, haazir hai sawali khasta jigar
Hasnein ka sadqa behr-e-Khuda, do kaam hamara khoob bana

Sarkar-e-Karam, Sultaan-e-Hisham, Mukhtar-e-Do 'Aalam, Shah-e-Umam
Ausaaf mein iska misl nahin, kaunein ka Aaqa khoob banaa

Zulmat ki ghata barbaad hui, mangta ki tabi'at shaad hui
Ae maah-e-madinah dam se tere qismat ka sitara khoob banaa

Jab isney tasawwur tera kiya, soorat mein kisi ki dekh liya
Qasim ke dil-e-muztar mein jhalak aayi to pukara, "khoob banaa!"


TASSAWUR-E-PIR:

1) (By My Murshid Hazrat Mohammed Fazal Hussain Shah(rehmatullah alaih) 

TASSAWUR MAI JO AA JAO TO KHUD KO BHUL JATE HAI,
KARAM ITNA JO FARMAO TO KHUD KO BHUL JATE HAI.

NAZA KE WAQT RUKHE ANWAR DEKHA JAO TO BEHTAR HAI,
LEHAD MAIN AKE SAMJHAO TO KHUD KO BHUL JATE HAI.

MAIN PEHLE AUR HI KUCH THA BANAYA AUR KUCH MUJHKO,
PIYE JO AAP KA PYALA TO KHUD KO BHUL JATE HAI.

KHUDA KE RAAZ HI TUMKO AGAR IZHAR HO JAYE,
TO HASTI CHEEZ HI KYA SARI DUNIYA BHOOL JATE HAI.

NIGHAE GUNJ MAKHFI PAR AGAR PAHUCHE TO PHIR KYA,
RAHE NA KHAOOF DOZAK KA WO JANNAT BHI BHUL JATE HAI.

BANAO PIR YEZDANI KO MASTANA SANAM AISA,
KHUDA BHI BAKSH DE MUJHKO TO SAB KUCH BHUL JATE HAI.


2)

DIL KO AAEENA BANATA HAY TASSAWUR PIR KA,
QALB KI SIYAHI MITAATA HAY TASSAWUR PIR KA.

HOTA HAY IS SAY MUYASSSAR DEEDAR E RASOOL (P.B.U.H),
HAQ TAALA SAY MILATA HAY TASSAWUR PIR KA.

DIL MAIN PAIDA HOTI HAY IS SAY KHUDA KI MAARFAT,
JAAM WAHDAT KA PILAATA HAY TASSAWUR PIR KA.

DIL KI SUB TAREELIYAN KAFOOR HOJATI HAIN JUB,
NOOR KI SHAMAA JALAATA HAY TASSAWUR PIR KA.

REHNUMA HOTA HAY YEH TOOFAN E GHUM MAIN BILYAQEEN,
KAAM SUB BIGRAY BANATA HAY TASSAWUR PIR KA.

PIR KA MUJH KO NAZAR AATA HAY HER SHAY MAIN JAMAAL,
JUB MERI AANKHON PAY CHAATAA HAY TASSAWUR PIR KA.
 
SAAMNAY AATAY HAIN WOH UTH JAATAY HAIN SAARAY HIJAAB,
JIS GHARI AASI JAMAATA HAY TASSAWUR PIR KA.


3) Namaz-e-Ishq:

SANAM KE NAZARE KARAM EK BAAR HO JAYE,
TO ZAHIDON SE BHI BEHTAR NAMAZ HOJAYE.

JO MAIKADE MAIN GAYA APNE SHOUKH SE ZAHID,
TO USKE DIL MAIN BHI TASVEER-E-YAAR HOJAYE.

PIYE THAI HUMNE BHI NAZRE MILAKE JAB UNSE,
JABI MAIN JITNE THAI SAJDE NISAR HOJAYE.

NAFS MAIN HUSAN TERA IS KADAR SRAYAT HAI,
HAR EK SAJDE MAIN TERA KHAYAL HOJAYE.

WO AUR PEHLU HAI JISMAI NAHI SAJDE RAWAN,
YE AUR BAAT HAI SAJDE HAZAR HOJAYE.

TERE HI ZIKR PAR DARO MADAR HAI SABKA,
JAB ZIKR KARTE HAI DIL MAI KARAR HOJAYE.

TARE NIGAH MAIN SAMA JAON AGAR AI YEZDANI,
MERI LAHAD MAIN BHI HUSNE BAHAR HOJAYE.


2)

Tarif-e-Fazl-e-Rehman Sarkar : (By Hazrat Bhole Miyan Sahab(rehmatullah alaih)

Noor tha noore khuda noor-e-rehmani bana,
fazl tha fazl khuda ka fazl-e-rehmani bana,

Is kadhar mehboob ho mehboob ke mehboob ho,
Kyun na ho mehboob jab mehboob-e-subhani bana.

3)

Ki mana ki sub kuch to waliyon ki hateli main hai,
aur Fazl-e-rehman ne jisko chmka diya wo bareliy main hai.

Mankabat:

1)

Sataya hai gardisho nai sun jaeye
mujhe ghum se akar chuda jaeye.

Mukhalif hai hawain kahin tofan ghere
jahan Fazle Rehma hai ajaye.

Nazar se Nazar to bahut milchuki
Munasib hai be parda ajaeye.

Namze Ishq main padhta hun lekin
jahan sar jhuke aap ajaye.

farishto ne ghera hai janch horahi hai
shifarish khuda se to karjaeye.

Dawain duain khatam ho chuki
Sambhal jaye halat jo ajaeye.

sukun jab na pao to jaldi se johar
Dare Fazl-e-Rehman par ajaeye.


2)


Aye Mere fazl-e-Rehman Karam kijye, aap ke dar pe har saal ata rahu,
Aap ke mankabat aap ke samne ba adab hoke dil se sunata rahun.

Aap ka dar dar-e-rehmate kibriya, hai yahi kaule pake habi-e-khuda,
khake darbar-e-akdas miljaye to, ankhon mai misle surma lagata rahun.

bhik de dijye jholi bhardijye, karke nazar-e-karam shaad kardijye,
dast anwar mere sar pe rakh dijye, taki har daur mai muskarata rahun.

mere dil ke fasurda kali ab khile aap ke dar se sadka mujhe bhi mile,
main jahan bhi rahun jis jagah bhi rahun, aap ka pyara nagma sunata rahun.

bahere Gausul wara aur khawja piya mang tu bhi dua danish benawa,
wo bade bad akidon se main na darun,aur rehmani parchum lehrata rahun.

Aye Mere fazl-e-Rehman Karam kijye, aap ke dar pe har saal ata rahu,
Aap ke mankabat aap ke samne ba adab hoke dil se sunata rahun.

3)

Ye mankabat Bade nana Hazrat Afzalur Rehman urf Bhole miyan(rah) jo mere pir sahab bhi hai un par likhi gaye thi chote nana nai Rafiq Miyan Nai.
Aap ka parda bahut hi zabardast tarike se hua hai aap ne gunjmuradabad sharif chod diya tha aur akele agra ke jama masjid ke sidhiyon par 43 days ke chilla kiya tha bina kuch khaye piye app 43 days aise hi dhop, barish, main raat aur din baithe rahein aur aap ne 43 din is dunyae fani se parda kiya, aap ko Fana Aur Baka dono ata hui, aap ka jism akdas jab wapas laya gaya gunjmuradabad sharif 3 din bad, aap ke jis akdas par moti kaye jum gaye thi aur aap ke jism ko kuch bhi nahi hua tha(subhanAllah) 3 din hone ke bawajood aisa lagraha tha ki aap sorahein hai,
ye mankabat unki taarif main mere chote nana ne like hai jo aap ka hal tha agra main usain bayan kiya hai.
aap ne parde ke 3 din baad jab aap ko ghusl diya jara tha apni ankh kholdi(subhanAllah) aur aur jo log ghusl de rahe the unko dekha aur muskuraye aisa ap ne 3 baar kiya aur phir hamesha ke liye ankh band karli.
Ise ye malim hoata hai ki Allah wale Marne Ke Baad bhi zinda hai, bus ye ek jagah se dosri jagah chale jate hai is liye ise jab koi guzarta hai to kaha jata hai ki parda karliya hai.

Is Hayat-e-maut par hairat ki koi ja nahi,
noor-e-rehma apne markaz ki taraf khichta chalagaya.

tham kar akhri ayaam ke ye aye rafiq,
markaze bala se hatkar khak par baitha raha.

deen duniya zadiye manzil na koi rasta,
wehmo ghuma yakin na rahat na asq na aah.

na paidh har maah tha na din tha na raat thi,
lab se nikal raha tha har sans la ilaha ill lal laa.

wo alame sakut tha par na tha jamood,
tanhai thi par na tha tanhai ka wajood.

kamosh mehwe haq the nazare jhuki hui,
dedar mustafa ke the nighaon main sujood.

nafs par kis tarah kaboo ho ye dikhla diya humko,
tarke duniya kaise ho samjhya diya humko.

kanaat isko kehte hai na bori hai na bistar hai,
fana-fil-laah ka shaheed tehra yun thera diya khudko.

Mashiyate ilahi par khamosh the warna,
huroon malak apne daman se hawa karte.

4) (By My Murshid Hazrat Mohammed Fazal Hussain Shah(rehmatullah alaih)

Shan Shana Rahe Dil Fakirana Rahe,
Zahen main tera tasawur aur ghum se yarana rahe,

Zindagi teri hi hai aur maut tere ishq mai,
Hashr main tu samne aur tera mastana rahe,

sakiya kausar zara nazre karam ho istaraf,
jaam ho lub par mere aur rukh bhi shahana rahe,

dum me dum ho aap ka aur dil mai ho tasweer e yaar,
shakl rindo ke bane aur chehra rehmani rahe,

hashar bhi hurein bhi jannat ka nazara bhi ho,
gumbade khizra pe dil ab mera nazrana rahe,

ya madar tera hi kehlata hun mai kadri,
chishti zevar mera shakl yezdani rahe.

6) (By Hazrat Bhole Miyan Sahab Mere Bade Nana Aur Pir Sahab(rehmatullah alaih)

Jo Bhi Chaho Wo Milega Ek Ishi Tatbir Se,
Shart Ye Hai Ishq Karle Pahle Apne Pir Se,

Wo Barzak Ho, Duniya Ho, Mehshar Ho, Ki Ukba Ho,
Har Ek Manzil Main Sab Ko Zaroorat Hai Fazl-e-Rehman Ki(SubhanAllah).
 
7)

Na Punchon Kis Ka Dar Hai Kis Paye Ki Hasti Hai,
Ye Dar Hai Fazl-E-Rehman Ka Yahan Rehmat Barsti Hai.

Akidat Khich Laye Hai Yahan Yun Mohabbat Se,
Nabi Ke Ladle Mushkil Khusha Wale Ki Basti Hai.

8)

GUNAH MAIN ROZ KARTA HUN CHUPATE HAI WO REHMAT SE,
MAIN MAJBOOR APNI AADAT SE WO MAJBOOR APNI REHMAT SE.

9)
 
KOI SALIKA HAI MANGANE KA NA BANDAGI MERI BANDAGI HAI,
YE SAB TUMHARA KARAM HAI BABA JO BAAT AB TAK BANI HUI HAI.

AHMED-O-REHMAT, NEMAT-O-BHOLE, AAFAQ, FAZLU, MIYAN MOHAMMAD,
TUMHARI IN PAR NAZRE KARAM HAI, HAMARI IN SE LAU LAGI HAI.


ARIFE DIN HO, IMAM-E-DAURAN, KUTUB ZAMANA TUMHI HO BABA,
IMAM-E-JOHAR KO APNE ROKHNA TUMHI SE UMEED REHBARI HAI.


SANAM KHANA:


SANAM KHANE MAIN ASHIQ AATE HAI JAYA NAHI KARTE,
NIGHAE YAAR SE PITE HAI PILWAYA NAHI KARTE.

TERI TASVIR KHICHI HAI NIGHAON KE KALAM SE,
YE NAKSHA DIL MAI HI REHTA HAI SAMJHAYA NAHI KARTE.

JO ASHIQ GHAR SE JATE HAI KHUDA KA NAAM LE LE KAR,
DAYARE MUSTAFA MAIN JAKAR PHIR AYA NAHI KARTE.

TERI WO REHBARI HAI JIS SE MAINE DEKHA KHUDAYE KO,
YE AANKH RASHQ KYUN KARTI HAI SAMJHAYA NAHI KARTE.

DIKHAYA TUNE JALWA AUR KIYA MANSOOR KO BEKHUD,
CHADAYA TUNE SULIPAR YE SAMJHAYA NAHI KARTE.

BAKABILLA KI MANZIL PAR JO SHUMS TABREZ PAHUCHEN THE,
KHICHAYI KHAL PHIR UNKI YE SAMJHAYA NAHI KARTE.

YE SAB SAMJHA DIYA MAINE MAGAR MUJHKO NA SAMJHOGE,
ZAMANE WALE YEZDANI KO SAMJHAYA NAHI KARTE. 
 
Nazara Fazl-E-Rehman Ka:  (By Hazrat Bhole Miyan Sahab(rehmatullah alaih)

Dikha Ya Rab In Ankhon Ko Nazara Fazl-E-Rehman Ka,
Meri Muskil Ka Hal Hai Ek Ishara Fazl-E-Rehman Ka,

Meri Kashti Hazar Bar Tufano Se Takraiye,
Magar Milta Raha Mujhe Sahara Fazl-E-Rehman Ka,

Mureedon Par Kyun Na Rahe Saya Roz-E-Kayamat Tak,
Ye Faiz Mustafa hai(Sal-lal-laho-tala-alaihi-wasalam) Bol Bala Fazl-E-Rehman Ka,

Tassawur Kar Raha Tha Jiske Surat Ka Main Mudaat Se,
Jume Ki Rat Miane Dekha Jalwa Fazl-E-Rehman Ka,

Tapish Roz-E-Qayamat Mureedon Par Nahi Hogi,
Tana Hoga Wahan Par Shamiyana Fazl-E-Rehman Ka,

Tumhare Ek Nazar Ne Mujhko Adna Se Kiya Ala,
Jabhi To Main Japa Karta Hun Nam Fazl-E-Rehman Ka,

Akidat Se Zara BHole Miyan Ki Shakl To Dekho,
Ki Chehre Par Nazar Ata Hai Chehra Fazl-E-Rehman Ka.


Bueatifull Mankabat: 

Nirala Astana Hai Hamare Fazl-E-Rehman Ka,
Bada Pyara Gharana Hai Hamare Fazl-E-Rehman Ka,

Gul-E-Bagho Risalat Ki Yahin Khushbo Mehakti Hai,
Batega Urs Main Sadka Hamare Fazl-E-Rehman Ka,

Gul-E-Ahmad, Gul-E-Rehmat, Gul-E-Neemat, Ke Jalwon Se,
Mehak Utha Hai Kashana Hamare Fazl-E-Rehman Ka,

Na Jane Kaun Si Khwaish Liye Jate Hai Roze Par,
Karam Hai Aam Kuch Aisa Hamare Fazl-E-Rehman Ka,

Qayamat Se Mujhe Dar Kya Ye To Apna Akida Hai,
Ishara Adna Kafi Hai Hamare Fazl-E-Rehman Ka,

Sare Mehshar Jo Chakbandi Gunahon Ke Wahan Hogi,
Laga Daftar Wahan Hoga Hamare Fazl-E-Rehman Ka,

Jhalak Bhole Miyan Main Aye Fazl-E-Rehman Se,
Sawara Khub Gulshan Hai Hamare Fazl-E-Rehman Ka,

Khuda Apne Farishton Se Kahaega Safiye Johar,
Ki Jane Do Ye Diwana Hai Hamare Fazl-E-Rehman Ka,


Martaba Of Fazl-E-Rehman:

Mere Fazl-E-Rehman Ka Aastan,
Mere Mustafa(Sal-lal-laho-tala-alaihi-wasalam) Ka Kayam Hai,

Yahan Ba Adab Chalo Aashikon,
Yahan Sar Uthana Haram Hai,

Yahi Mustafa(Sal-lal-laho-tala-alaihi-wasalam) Ke Hai Lakhte Jigar,
Yahi Fatema Ke Hai Noor-E-Aain,

Yahan Kaba Khud Chalke Agaya,
Ye Adab Ka Aisa Makam Hai,

Koi Dekhe Unki Sukhan Gari,
Jo Bhi Chaha Nabi(Sal-lal-laho-tala-alaihi-wasalam) Se Paliya,

Mere Fazl-E-Rehman Ka har Ek Bayan,
Mere Mustafa(Sal-lal-laho-tala-alaihi-wasalam) Ka Kalam Hai,

Kise Ko Jila Diya Pyar Se,
Kise Ko Bacha Liya Dar Se,

Yeh Sifat Bhi Unki Ajeeb Hai,
Yeh Unhe Ke Bus Ka Kam Hai,

Mere Fazl-E-Rehman Ka Aastan,
Mere Mustafa(Sal-lal-laho-tala-alaihi-wasalam) Ka Kayam Hai,

Yahan Ba Adab Chalo Aashikon,
Yahan Sar Uthana Haram Hai,

Mankabat Fazl-E-Rehmani: [By Hazrat Mohammed Miyan Sahab(rehmatullah alaih) Mere Nana Hazrat]

Hum Sajdon Main Jinke Kadmon Par Is Sar Ko Jhukaya Karte Hai,
Kya Tum Ko Pata Hai Aye Wayaz Parde Main Kya Kya Hota Hai.

Ye Naam Jo Fazl-E-Rehman Hai Darsal Main Fazl-E-Rehman Hai,
Jisne Bhi Pukara Dil Se Inhain Khud Jake Madawa Kartey Hai.

Kismat Ye Kahan Jo Khud Pahunche Mushkil Hai Ziyarat Hi Inki,
Ye Ek Karam Hai Inka Karam Jo Humko Bulaya Kartey Hai.

Nisbat Se Mohammed Sallam Ko Is Darja Hai Fazl-E-Rehman Se,
Karnain Ko Muradain Puri Yahan Tashrif Wo Laya Karte Hai.

Madfan Main Kisi Bhi Khadim Ke, Purshish Ko Nakirain Aye Jahan,
Farma Ke Tabassum Apne Taraf Sarkar Ishara Karte Hai.

Hone Ko Abhi Ye Samne Ho Ulfat Hai Ghulamon Se Itni,
Barham Na Nizame Kudrat Ho Parde Se Nazara Karte Hai.

Ek Yaad Khatakti Rehti Hai Ek Dard Sa Uthane Lagta Hai,(makta)
Rehmat Se Teri Daman Jo Bhara Neemat Ko Pukara Karte Hai.

2)

Kya Hi Ajeeb Is Anjuman KI Shaan Badi Hai,
Shayad Ye Fazl-E-Rehman Ki ane ki Ghadi Hai.

Kyun Kar Na Daraksha Ho Fazl-E-REhman Ka Ghumbad,
Jab GhumBade Khizra Ke Ladi Is Pe Padi Hai.

Chedon Na Nakiron Tazeem To Karlun,
Aaye Hai Fazl-E-Rehman Tumhai Apni Padi Hai.

Bigda Hua Har Kaam Banega Tera Aye Dard,
Tujhko TO Fazl-E-Rehman Se Umeed Badi Hai.
 
3)

(Written By Hazrat Rafiq Miyan Sahab(rehmatullah alaih)

Ye Kaun Mehfil Main Taza Taza, Maye Mohabbat Pila Raha Hai,
Wo Mast To Makhmoor Hora Hai, Jo Inki Nazar Se Pi Raha Hai.

Nazar Nazar Main Roye Neemat, Nafas Nafas Main Roye Rehmat,
Hasin Tassawur Bhole Miyan Ka, Hasin Jalwe Dikkha Raha Hai.

Yahin Se Nehrain Karimi Nikale, Yahin Par Irfani Jaam Chalke.
Yahin Pe Mere Habib Rehman, Sharabe Irfan Pila Rahain Hai.

Bakadre Himmat, BaKadre Nisbat, Bakadre Chahat, Bakadre Ulfat,
Har Ek Nazar Utha Utha Kar, Pyas Apni Bhuja Raha Hai.

Zaroor Maujood Hai Yahan Par, Hamrain Marhoom Saheba Kibla,
Khuch Aisi Khushboo Mehak Rahi Hai, Nazar Kuch Aisa Araha Hai.

Hai Kiski Rehmat Banam Fazlu, Jo Aj Mehfil Main Jalwagar Hai,
Ki Dane Dane Ko Karke Ek Jaa, Woh Ek Tasbi Bana Raha Hai.

Tumhari Jalwa Badost Nazrain, Shafiq Bhi Hai Rafiq Bhi Hai,
Nazar Ki Duniya Chamak Uthi Hai, Tamam Dil Jigmaga Raha Hai.