1) Maulan Ahmed Raza Khan Urf Ala Hazrat (rah) Mulakat Ke liye Aaye :
Maulna Ahmed Raza Khan Sahab(rahmatullah alaih) ramzan-ul-mubarak ke mahine main Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) se mulakt ke liye aye jab aap Gunjmuradbad sharif pahuche to aap ne Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ke chahne wale se arz kiya ki who Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) se milna chahte hai chahne wale ne Hazrat Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ko is baat ki itela ki. Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ne ghulam se farmaya ki Maulna Ahmed Raza Khan Sahab(rahmatullah alaih) se kehdo ki who ek Fakir ke paas kya lene aye hai un ke walid aalim unke dada aalim, aur wo khud bhi aalim, chahne wale ne Maulna Ahmed Raza Khan Sahab(rahmatullah alaih) se majra bata diya Maulna Ahmed Raza Khan Sahab(rahmatullah alaih) ne phir gujarish ki is bar Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ne unko bula liya milne ke baad Maulna Ahmed Raza Khan Sahab(rahmatullah alaih) ne Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) se Milaad Sharif Ke bare main pucha us par Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rehmatullah alaih) ne unse pucha ki tum Milaad Sharif ko kya samjhte hain is par Maulna Ahmed Raza Khan Sahab(rahmatullah alaih) ne jawab diya ki main Milaad Sharif ko Mujtahab janta hun is par Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ne unse kaha ki main Sunnat manta hun Kyunki Sahaba-E-Karam(Radi Allahu anhu) jo jehad main tashrif lejate thai wo apne ahlo ayal se kya kaha karte thai yahina ki Makkah mauzma main Nabi Kareem(Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) paida hey. Allah jalle shanahu ne in par Quran-E-Pak utara, Unhone yeh mojazey(miracel) dekhlaye Allah tala ne inko ye fazail ata farmaye Majlis-e-milad main bhi yahi sab bayan hota hai farq itna hai ki tum apni mehfil main Laddo batate ho aur Sahaba-E-Karam(Radi Allahu anhu) apne sar(head) batate tahi. Us ke bad Maulna Ahmed Raza Khan Sahab(rahmatullah alaih) ne farmaya ki kuch nasihat karne ko Is par Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ne farmaya ki Takfir(matlab kisi ko kafir kehna) main jaldi na kiya karo is par Maulna Ahmed Raza Khan Sahab(rahmatullah alaih) ne dil main socha ki main to un logon ko kafir kehta hun jo Huzoor Nabi Kareem(Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) ke bargah main gustakih kartey hai ye bat Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ko kashf se pata chal gaye is par apne Ala Hazrat(rahmatullah alaih) Kaha ki han han jo adna harf gustaki(matlab ek dum mamuli se) Huzoor(Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) ki bargah main kare bila shubha kafir hai.
Uske Bad apni kala(topi) Mubarak unko de di aur unki le li. Ye tarika Sufiya main faiz ata karne ka tarika hai. Aur ye irshad farmaya jise kisi sayar ne bakhubi kalam bandh kiya hai. Aj bhi ye Topi Mubarak Bareli Sharif main Ala Hazrat(rahmatullah alaih) ki mazar Sharif ke andar jo taburakat rakhye huy hai us main bht hi adban Sambhal ke rakhy huye hai.
"Aapni topi tujhe de di teri od li
Hazrat Fazle Rehma aur yun kahein
Noor par Noor ata hai tujhme nazar
Sayedi Murshedi Shah Ahmed Raza"
Qurban jaye Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ke sakhsiyat par ki ap kitna dikhte the aur aap Aashiq-e-Mustafa(Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) ko kaise nawazte the.
Aur kaisa nawaza hai Maulna Ahmed Raza Khan Sahab(rahmatullah alaih) ko ki aaj duniya bhar main log unke diwane hai aur silsila Ala Hazrat(rah) kaisa phal aur phool rahaa hai ye sab Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ke daine hai.
"Yahan Par Apne Paraye Ko Deka Nahi Jata
Bata Karti Hai Yahan Par Muft Daulat Fazle Rehma Ki"
Mere Peer Sahab ne Is Baat Par ek Sher Likha Hai
"Mana Ki Sab Kuch To Waliyon Ki Hateli Main Hai
Aur Fazle Rehma Ne Jinko Chamka Diya Wo Bareily Main Hai".
2) Kaba Sharif Ka Didar Ke Liye Khudana :
Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) apni walida ke sath akele raha karte the ek din aap ka dil hua ki aap bhi Haj kar aye jab aap ne apni ammi se ijazt mangi to unki walda ne unse kaha ki main itne zaiyef (old) hogayi hun. Agar tum Haj pe chale jao ge to mera khyal kaun rakhega. Baad main kabhi chalejana ye sunkar aap ne jana cancel kardeya sirf apni walda ke raza ke Liye. Jab raat mai Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) apne hujre main lete huey they tab apne kya dekha ki Kaba Sharif Unke Samne Khada aur Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) dedar karlete hai(SubhanAllah) is wakiya se ap log jan sakte hai ki akhir Allah ne kaisa banaya hai Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ki zaat-e-pak ko.
3) Namaz Main Kaba Sharif Samne Ana :
Hazrat Waris Ali Shah(rahmatullah alaih) jin ki mazar-e-akdas barabanki (u.p) main hai bahut paye ki buzurg guzre hai wo Hazrat Maulana Shah Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ke nanihali(mother side) taur se rishtedar bhi lagte hai. Hazrat Waris Ali Shah(rah) Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ko chachajan kehte aur aksar Gunjmurabad sharif aya karte the. Hazrat Waris Ali Shah(rahmatullah alaih) kaha kartey thai Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) bina Huzoor Pak(sal-lal-laho-tala-alihi-wasalam) se puchey mureed hi nahi bante thai aur jis murred ko chatey Huzoor Pak(sal-lal-laho-tala-alihi-wasalam) ki bargah main khada kar dety thai(SubhanAllah) kya zate Pak hai .
Hazrat Waris Ali Shah(rahmatullah alaih) namaz nahi padte the jis wajah se un ke mureed un par barabar akidat nahi rakhte the. Ek din jab Hazrat Waris Ali Shah(rahmatullah alaih) apne mureedon ko sath Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ke pass mulakat ke liye aye to Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rah) ne unse kaha ki aaj wo unke sath namaz padhe is par Hazrat Waris Ali Shah(rah) ne kaha bilkun Aap ke piche namaz ke liye kaun mana kar sakta hai. Namaz ke liye jaise hi logo ne niyat bandhi. Sub log kya dekh te hai ki woh saare log kaaba sharif ke saamne khadhe hai. Jaise hi salam phera gaya kaaba sharif nazaro se ja juka tha ye majra dekh kar sab log hairanhogaye.Hazrat Gujmuradbadi(rahmatullahalaih)ne Hazrat Waris Ali Shah(rahmatullah alaih) ke mureedo se farmaya ki "Tumhara PEER koi mamuli PEER nahi hai, dekha apne peer ka martaba roz apni namaz kaaba sharif me padhte hai. Ye sun kar mureedo ko apni galti ka ahsas hua,aur un logo ne Hazrat Waris Ali Shah(rahmatullah alaih) se maafi mangi. Is par Hazrat Waris Ali Shah(rahmatullah alaih) muskuraye aur Hazrat Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) se farmaya ki aaj apne jo raaz maine barso se chupa rakha tha aaj apne khol diya .
Is par Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ne farmaya ki apko aaj namaz padhne mein kaisa lutf aaya?
Hazrat Waris Ali Shah(rahmatullah alaih) ne us par farmaya ki Chachajaan
"Aise Namaziya Agar koi Padhaye to hum roz Padhab".
4) Dubte Jahaaz Ko Bacha lena :
Ek baar bahut se Huj-jaje-karam(Haj Karne Wale) Pani ke Jahaaz se Haj Karne Jaa rahee the,achanak Samandar main bahut bada tufan aya us jahaaz par bahut mureed Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ke bhi the jahaaz dubne wala tha ki sab logo ne apne peer sahib ko yaad kiya bus mureedon ka unko yaad karma hi tha aur unka madad ke liye anaa tha. Sare Mureedon ne dekha ke un ke peer-e-kamil ne jahaaz ko khanda dekar bawar se nikal diya aur sab ko bacha liya is tarah sab mureed haj kar aye bakhairiyat se.
"Bacha Sako To Bacha Lo Ki Dubta Hun Main
Tumhi To Ho Jise Kehte Hai Nakhuda-E-Duniya".
5) Logo Ko Huzoor(Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) Ki Bargah Main Khada Kardena :
Ek baar kuch aalim baithe hue the aur hadis-e-pak ka zikr kar rahein the.
Tirmaji Sharif ke koi hadis par bahesh chidi thi jab baat Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rah) ko pata chali to apne logo ko sahi hadis bataye is pur kuch ulma aitaraz karne lage bus kya tha Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) jalal me agaye aur sab logo ko ankhen band karne ko kaha jaise hi logo ne ankhen bandh ki sab log apne ko bargahe Risalat(Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam)me dekhte hai. Huzoor Pur Noor(Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam)Farmatein hai ki ye hadis sahi hai aur Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) jo hadis farmatein hai wo bilkul sahi hoti hai kyun ki har hadis ki sehat Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ne hum se ki hai. Ye sab dekhne ke baad sare logo pe ek ajab masti wa suroor ka alam cha gaya aur sab Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ke zaat-e-paak ki bulandi dekh kar hairan rehgaye.
6) Zubaan Se Farmate Hi Hafiz Hojana :
Haafiz Adbul Rahim Khan Sahab Rehmani bade mukhlis asthana wa pa bandh shara the.
3-4 din thair kar wo khidmat murshid karte phir wapas apne ghar ajate the. Ek din un ko ye tamana hui ki agar cha 32 bars ki umar ho chuki agar peer-o-murshid dua kardein to main Quran hifz karlu mauka pakar arz kiya ki mujhko tammana-e-hifz Quran hai Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) sun kar khamosh rahein thodi der baad buland awaaz se is tarah pukar ki Haafiz Abdul Rahim Imamabadi Yahan aoo main fauran hazir hua to mujhey ruksat ki ijazat de di aamanabad pahuch kar jab maine tilawat Quran ki to maine kya dekha ki mujhe pura Quran Sharif hifz ho gaya hai aur main ache se ache haafiz se bhi acha haafiz hogaya sirf Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ke zaban se Haafiz nikal ne ki barkat se.
7) Murde Ko Zinda Kardena :
Ek bar ek Hindu raja tha us ke koi aulaad nahi thi who har kaam panditon se puch kar karta tha bahut yagna kiye mandiron me matha teka magar kuch hasil na hua,usne Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ke bare main kafi sun rakha tha ek din wo Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ki khidmat main aya aur un se badi reham dili se aulad ke liye darkhast ki, Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ne usko dua di ki ja tujhe ladka hoga aur ek batasha(sweet) diya aur kaha ki ise apne aurat ko khila dena aur takid ki, ki wo panditon ke chakkar main na pade aur bache ko Allah ke bharose chod de Allah ke karam se raja ke ghar ladka hogaya magar raja ki biwi ne panditon ka chakkr nahi choda, wo hark am panditon se puch kar karti, dhire dhire bache ki tabiyat kharab hone lagi aur ek time aya ki wo marne ke kareeb agaya raja ne har tarah se illaj karaya magar koi fayda nahi hua, akhir thak har kar raja ko phir Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ke khidmat me apne bache ko lana pada, jab raja apne bache ke sath Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ki khidmat main pahucha to bachha dum tod chuka tha, Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ne farmaya ki ab kuch nahi ho sakta un hone use kaha ki jab mana kiya tha to panditon ke chakkar main kyun pada wo raja aur rani bahut roye aur mafi mangne lage Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ko un par reham aya aur un hone us bache ke sar par
"Allah Shafi Allah Kafi" padh kar ungli phir de aur wo bacha zinda hogaya(subanAllah)
aur Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ne raja se farmaya ki ye baccha 12 saal tak zinda rahega phir marjayega, aur aisa hi hua.
8) Abe Zam Zam Ka Pani :
Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ka ek mureed the wo ek baar haj karne gaye, ek din wo abe zam zam ke paas gaye aur apna lota dal kar paani bahrne lage ki achanak unka lota unke hath se chut gaya aur abe zam zam ka pani jahan se nikal raha tha us main gir gaya, aap bahut mayus hui aur wahan se wapas chale aye jab aap ki wapsi aapne watan hui haj karne ke baad to ek din aap apne pir sahib ke bargah main hazir huey.
Shayad Namaz ka waqt ho gaya tha aap ne wazu ke liye kuan(well) main balti dali aur jab balti upar ghasti to jo dikha usse aap hairan hogaye aap ne apna wahi lota dekha jo wahan abe zam zam me gir gaya tha, ye lota lekar mureed fauran Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ke paas pahuche aur sari baat bataye, Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gujmuradbadi(rahmatullah alaih) ne unki baat suni aur farmaya ki yeh kuan(well) ka pani abe zam zam se juda hua hai. Main is baat ka gawah bhi hun maine khud is mubarak pani ko piya hai beshak is paani main aur abe zam zam ke pani main koi farak nahi lagta..
9) Dr. Allama Iqbal Sahab Mulakat Ke Liye Aye:
Vazir Bhopal Munshi Imtiyaz Ali Fazl-E-Rehmani ki kothi lucknow main hai wahan unki mulakat Dr. Mohammed Allama Iqbal Sahab se hui. Munshi Imtiyaz Ali sahab astane Fazl-E-Rehmani arahe thai Hazrat Maulana Fazl-E-Rehman Gunjmuradabadi(rehmatullah alaih) se mulakt ke liye Dr. Mohammed Allama Iqbal Sahab ne bhi shoukh zahir kiya astane aliya ane ka bawaqt mulakat Dr. Mohammed Allama Iqbal Sahab ne Hazrat Maulana Fazl-E-Rehman Gunjmuradabadi(rehmatullah alaih) se kaha ki Huzoor-E-Aali koi aisa wazifa bataye jise mujhe Huzoor Purnoor Hazrat Mohammed Mustafa(sal-lal-laho-tala-alaihi-wasalm) ki ziyarat naseeb hojaye, Is par Hazrat Maulana Fazl-E-Rehman Gunjmuradabadi(rehmatullah alaih) ne farmaya ki walihana mohabbat khud sabab didar hai, Tum apne main wo bat paida karo ki Aka-E-Namdar Hazrat Mohammed Mustafa(sal-lal-laho-tala-alaihi-wasalm) ki khud nigahain karam tumhare taraf uthjaye yahi sab se bada wazifa hai.
10) Maulud Sharif aur Roshni:
Chowdhary Mohammed Azeem sahab fazl-e-rehmani talukedar sandila ne bayan kiya ki 12 rabi-ul-awwal thi arz kiya ki Maulud Sharif ki Ijazat Marhamat ho, Maulana Fazl-E-Rehman Gunjmuradabadi(rehmatullaha alaih) ne farmaya ke hamarey Hakim Niyaz Ahmed Faizabadi (rehmatullah laiah) Maulud Sharif padhenge basti main khabar kardo, maine masjid ke 12 takon main 12 chiragh roshan kiye ek sahab eitaraz kar baithe ke itne chiragh jalana israf hai, Itefaq se Maulana Fazl-E-Rehman Gunjmuradabadi(rehmatullaha alaih) ko ilm hogaya apne in mohtaraz se farmaya ki tumhare khayal main kisi ne israf kiya hai to jin chiragon ko tum zarrorat se zyada samjho jakar bhuja do.
Sher Mohammed Farukhabadi gaye aur pehla chiragh bhuja kar dusre ko bhujane bade to pehla wala chiragh khud ba khud jal utha, wo isko bhujakar bhade to dusra wala jal pada garaz ke jisko ye bhuja kar age wala bhujate phichla jal jata, chand bar yahi hua to thak har kar baith gaye aur ek chiragh bhi na bhuja paye.
Maulana Fazl-E-Rehman Gunjmuradabadi(rehmatullaha alaih) ne farmaya ke ab bolo tumhara israf kahan gaya, Han agar tumne ikhlas ka manzar na dekha ho to ab dekhlo.
Sher Mohammed Farukhabadi aise nadim huye ki usi waqt mureed hogaye aur der tak rotey rahey, Idhar Maulana Fazl-E-Rehman Gunjmuradabadi(rehmatullaha alaih) ko aisa josh aya ki mimber par khade ho naat wa zikr wiladat (sal-lal-laho-tala-alahi-wasalm) farmakar rakat angez lehje main salato salam padha.Imarti par fateha dekar ek khud nosh ki aur 2-2 hazerain main batwaye.